sp_hashmie
male - 29 years, Karachi, Pakistan
Blog 124
-
Bhut Chanchl bhut Khush numa
BETIAN............
Bhut Chanchl bhut Khush numa
C Hoti Hei BETIAN..
Nazuk Sa Dil Rakhti Hen
Masoom C Hoti Hen BETIAN..
Bat Bat Per Roti Hen
Nadaan C Hoti Hen BETIAN..
Hen Rehmat Se Bharpoor,
ALLAH Ki Nemat Hen BETIAN..
Ghar Bhi Mehak Uthta Hey
Jb Muskurati Hen BETIAN..
Hoti Hy Ajeeb c Kefiat jb
Chorr K Chali Jati Hein BETIAN..
Ghar Lagta Hy Soona Soona
Kitna Rula Jati Hen BETIAN..
Ye Hum Nahee Kehta Ye To
ALLAH Bhi Kehta Hey k!
Jb HUM Bhut Khush Hotey Hen To,
Paida Krtey Hen BETIAN............ -
jo utar ke ziinaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush me.n samaa
jo utar ke ziinaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush me.n samaa gaye
vahii jalate bujhate se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye
ye ajiib khel hai ishq kaa mai.n ne aap dekhaa ye mojezaa
vo jo lafz mere gumaa.N me.n the vo terii zubaa.N par aa gaye
vo jo giit tum ne sunaa nahii.n merii umr bhar kaa riyaaz thaa
mere dard kii thii daastaa.N jise tum ha.Nsii me.n u.Daa gaye
vo charaaG-e-jaa.N kabhii jis kii lau na kisii havaa se niguu.N hu_ii
terii bevafaa_ii ke vaasavaa use chupake chupake bujhaa gaye
vo thaa chaa.Nd shaam-e-visaal kaa ke thaa ruup tere jamaal kaa
merii ruuh se merii aa.Nkh tak kisii raushanii me.n nahaa gaye
ye jo bandagaan-e-niyaaz hai ye tamaam hai vo lash_karii
jinhe.n zindagii ne aman na dii to tere huzuur me.n aa gaye
terii beruKhii ke dayaar me.n mai.n havaa ke saath havaa huaa
tere aa_iine kii talaash me.n mere Khvaab cheharaa ga.Nvaa gaye
tere vaasavaao.n ke fishar me.n teraa sharar-e-rang uja.D gayaa
merii Khvaahisho.n ke Gubaar me.n mere maah-o-saal-e-vafaa gaye
vo ajiib phuul se lafz the tere ho.nTh jin se mahak uThe
mere dasht-e-Khvaab me.n duur tak ko_ii baaG jaise lagaa gaye
merii umr se na simaT sake mere dil me.n itane savaal the
tere paas jitane javaab the terii ik nigaah me.n aa gaye -
Main Bhool Jaun Ab Yehi Munaasib Hai,
Main Bhool Jaun Ab Yehi Munaasib Hai,
Magar Bhulana Bhi Chahun To Kis Tarah Bhoolun,
Ke Tum To Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khwaab Nahin,
Yahan To Dil Ka Ye Aalam Hai Kya Kahun,
Bhula Saka Na Ye Silsila Jo Tha Hi Nahi,
Wo Ek Khayal,
Jo Aawaz Tak Gaya Hi Nahin,
Wo Ek Baat,
Jo Main Keh Nahin Saka Tumse,
Wo Ek Rabt,
Wo Hum Mein Kabhi Raha Hi Nahin,
Mujhe Hia Yaad Wo Sab,
Jo Kabhi Hua Hi Nahin,
Agar Ye Haal Hai Dilka To Koi Samjhayein,
Tumhe Bhulana Bhi Chahun To Kis Tarah Bhulun,
Ke Tum To Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khwaab Nahin. -
Muskurate howe shanasa chehre
Muskurate howe shanasa chehre
Barson se basi yeh imaarten sab
Kal jo raahen thin jaani pehchani
Aaj woh fana hogaya hai sab
Choti choti si woh baaten
Jo thin ranj-o-gham ka sabab
Kal jin pe muheet thi zindagi
Aaj woh fana hogaya hai sab
Woh zara zara si khushiyan
Humraah they sab apne jab
Kal jo they muskuratey lamhe
Aaj woh fana hogaya hai sab
Aatey jaate yeh mausam
Musalsal guzarte roz-o-shab
Kal jo thi rawaan behti zindagi
Aaj woh fana hogaya hai sab
Daulat, makaan, jaidaad
Yehi sub they duniya ki talab
Kal tak naaz tha jin pe logon ko
Aaj woh fana hogaya hai sab
Jo mit gaya, jo bikhr gaya
Phir taameer hoga jaane kab
Kal jo sub lagta tha mustehkam
Aaj woh fana hogaya hai sab -
Saaman-e-tijarat mera eeman nahi hai,
Saaman-e-tijarat mera eeman nahi hai,
Har dar pe jhuke sar ye meri shan nahin hai.
Har lafz ko seene mai basalo to bane baat,
Taqo'n mai sajane ko ye "Quraa'n nahi hai,
Allah mere rizq ki barkat na chali jayee,
Do rooz se ghar main mere mehmaan nahi hai.
Humne to samandar mai bhi raste hain banaye,
Yun humko mitana koi aasaan nahi hai.
jis ko buzurgon ki rivayat na rahe yaad
us shaKhs ki logon koi pehachan nahi hai
Main teri mohabbat mai giraftar hoon lekin,
Main tujhko Khuda samjhun ye imkaan nahi hai.
Do chaar ummidon ke diye ab bhi hain roshan,
majid ki haweli abhi veeran nahin hai. -
"tumhain mujhse shikayat ha"
BHOT MUDAT SE AISA HA
K TUM KHAMOSH RAHTAY HO
KOI GEHRA HAI GHUM SHAYD
JISAY CHUP CHAP SAHTAY HO
YUNHI CHALTAY HUAY TANHA
KOI GHAMGEEN SA NAGHMA
TM AKSAR GUNGUNATY HO
AGAR MAIN POOCH LON TUM SAY KS BAT KA GHM HA
FAKAT ITNA HI KEHTAY HO
UDASI BE WAJA SI HA
BHOT BHOJAL TABIYAT HA
BHALA SACH Q NAI KHATY
"tumhain mujhse shikayat ha" -
tum q banay thay dil ka sahara jawab do
tum q banay thay dil ka sahara jawab do
ab kahan hai wo pyar tumhara jawab do
kis ko tha naaz apni adaon par har ghare
kis nay kiya wafa say kinara jawab do
hum to seh na sakain gay judaye ka ghum
ya qoul tha maira k tumhara jawab do
ek taraf zindage aik taraf maut hai
ab kis taraf karo gya ishara jawab do..... -
wo waqt kabhi to aye ga
wo waqt kabhi to aye ga
jab bat ksi ki aye gi
tumay yaad ksi ki aye gi
ansu ki tarhan in ankhon say
jab ghum ka darya niklay ga
dil mom k jesay pighlay ga
tum piyar ka daman chaho gay
lakin na kahin tum pao gay
tmhay rog-e-wafa lag jaye ga
wo waqt kabhi to aye ga
tujhay tanhaye tarpaye gi
kaghaz par likho gay afsanay
kuch log huay thay deewanay
us kaghaz par sab say pahlay
jab naam hamara aye ga
wo waqt kabhi to aye ga -
zara thero chalay jana!
zara thero chalay jana!
mujhay kuch tum say kehna hai...
ziyada waqt nhi loun ga
zaara c bat krni hai...
na dukh apnay sunanay hain
na koi faryad karni hai
na ya maloom karna hai
k ab halat kaisay hain
tumharay hamsafar jo thay
tumharay sath kaisay hain
na ya maloom karna hai
tairay din rat kaisay hain
mujhay bus itna hi kahna ahi
mujhay tum yad atay ho..........
buhat hi yad atay ho -
tamnaa lay k ulfat ki mairay angan main wo utra
tamnaa lay k ulfat ki mairay angan main wo utra
muhabbat rog hai dil ka usay mainay ay samjhaya
kaha us nay muhabbat kr shareek-e-gham bana mujh ko
karun ga main zamanay ki khushi say ashna tumko
huwa majbur main..kiya iqrar ulfat ka
laga di jaan ki baazi samajh kr khel qismat ka
huye maloom pher uski haqeeqat ay zamanay say
usay taskeen milty hai kisi ka dil dukhanay say
Blog tags
No tags used